
Main kiyon na tark-e-ta'aluq ki ibteda karta?
Wo dur dais ka baasi tha kiya wafa karta ?
Wo mere zabt ka andaza karne aaya tha
Main has ke zakhm na khata tu aur kiya karta ?
Hazar aiena khano'n mein bhi na pa saka
Wo aiena jo mujhe khud se aashna karta
Dar-e-qafas pe qayamat ka habs tha warna
Saba se zikr tera mein bhi sunn liya karta
Meri zamee'n, too agar mujh ko raas aa jaati !
Main rifato'n mein tujhe aasma'n sa kerta
Gham-e-jaha'n ki muhabbat lubha rahi thi mujhe
Main kiss tarha teri chahat pe aasra karta ?
Agar zuba'n na kat'ti tu shehar mein Mohsin
Main pathro'n ko bhi ek rooz hamNawa karta
No comments:
Post a Comment