Pages

Monday, August 27, 2012

Roz taaron ko numaaish mein khalal padtaa hai;


Roz taaron ko numaaish mein khalal padtaa hai;
chaand paagal hai !! andhere mein nikal padtaa hai.

ek deewaanaa musaafir hai meri aankhon mein;
waqt be-waqt thahar jaataa hai chal padtaa hai.

apni taabeer ke chakkar mein meraa jaagtaa khwaab;
roz sooraj ki tarah ghar se nikal padtaa hai.

roz patthar ki himaayat mein gazal likhte hain;
roz sheeshon se koi kaam nikal padtaa hai.

uski yaad aayee hai saanson!zaraa aahistaa chalo;
dhadkano se bhi ibaadat mein khalal padtaa hai-------

No comments: