Pages

Saturday, August 18, 2012

Tum Ne To Ye Keh Diya K Muhabbat Nahi Mili


Tum Ne To Ye Keh Diya K Muhabbat Nahi Mili
MujhKo To Ye Kehne Ki Bhi Fursat Nahi Mili

Neendo'n K Dess Jate ,Koi Khawab Dekhte
Lekin Diya Jalaaney Se Fursat Nahi Mili

Tujh Ko To Khair Shehar K Logo'n Ka Dar Tha
Aur mujh Ko Apney Ghar Se Ijazat Nahi Mili ..

Phir Ikhtelaaf-e-rai Ki Soorat Nikal Pari
Ur Apni Yahan Kissi Say Bhi Aadat Nahi Mili .........♥

Be-Zaar Yu Huwe K Teray Ehad Mein Humein
Sub Kuch Mila Sakoon Ki Dolat Nahi Mili ....................♥

Do Ghari neend Sula do Mujhko


Do Ghari neend Sula do Mujhko
Ik naya khawab Dikha do Mujhko

Na pohanch paoon mein Chalte chalte
Aisi manzil ka pata do Mujhko

Zindagi talkh hui jati hai
Ab na jeene ki Dua do Mujhko

Yun Hi kam hogi jalan Aankhon KiaTum Zara aur Rula do Mujhko

Jurm to koi na Saabit Hoga
Be-Gunahi Ki Sazza Do MUJHKO...!!! ............♥

Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai


Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai
Haal-e-Dil Auroon Ko Sunaana Kitna Mushkil Hai

Aik Humain Hai Teri Chahat, Aik Dunya Ki Majboori
Beech Samandar Diya Jalaana Kitna Mushkil Hai

Aik Naye Dunya Ki Chahat Le Aye Hai Kitni Door
Wapis Laut K Ghar Ko Jaana Kitna Mushkil Hai

Ab Tu Har Aik Hi Hum Ko Dard Ka Mara Lagta Hai
Apne Zakham Logon Ko Dekhaana Kitna Mushkil Hai

Roz Mujh Se Aik Nayee Tamanna Karta Hai Yeh Mera Dil !!
Is Nadaan Bache Ko Samjhaana Kitna Mushkil Hai

Hum Ankhoon Se Kehne Wale, Tum Hontoon se Sunaane Wale
Apni Chahat Yun Tumhain Bataana Kitna Mushkil Hai .....♥

Badnaam Zamaane Me Mohabbat Nahi Karte


Badnaam Zamaane Me Mohabbat Nahi Karte
Dil Wale To Dushman Se Bhi Nafrat Nahi Karte

Aik Baar Jise Chaha Sadaa Ussi K Rahe Phir
Hum Amanat Me Khiyanat Nahi Karte

Tanhai Main Karlete Hain Yaad Aansoo Baha Kar
Zahir Kabhi Hum Apni Ibadat Nahi Karte

Waqt Aane Pe Ye Maloom Hojaiga Tumhe
Hum Sirf Dikhawe Ki Mohabbat Nahi Karte

Likhte Hain Faqat Tumhare Liye Ghazalein
Har Shakhs Pe Hum Aisi Inayat Nahi Karte

Kathan hai rah-guzar thori door saath chalo


Kathan hai rah-guzar thori door saath chalo
buhat kara he safar thori door saath chalo

tamaam umr kahan saath deta hai..??
ye jaanta hoon magar thori door saath chalo

nashe main choor hoon main b, tumhain bhi hosh nhi
bara maza ho agar thori door saath chalo

ye aik shab ki mulaqaat bhi ghanimat hai
kise hai kal ki khabar thori door saath chalo

abhi to door hain chirag raaho'n k !!!
abhi hai door sehar thori door saath chalo

tawaaf-e-manzil-e-janaa'n hamain bhi karna hai
Faraz tum bhi agar thori door saath chalo

Friday, August 17, 2012

Sukoon Milta Hai Jab Un Se Baat Hoti Hai


Sukoon Milta Hai Jab Un Se Baat Hoti Hai
Hazaar Raato'n Me Wo Ik Raat Hoti Hai

Nigah Utha K Wo Dekhein Kabhi Jo Meri Taraf
Wo Hi ik Nigah Meri Kainaat Hoti Hai ...!!!

Wednesday, August 15, 2012

Jab Tera Dard Mere Saath Wafa Karta Hae


Jab Tera Dard Mere Saath Wafa Karta Hae
Ik Samandar Meri Aankhon Se Baha Karta Hae

Uss Ki Batain Mujhe Khushbu Ki Tarah Lagti Hain
Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hae

Mere Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi Hae
Woh Har Ik Shakhs Ko Daanista Khafa Karta Hae

Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi
Baat Itni Hae Kay Woh Mujh Se Jafa Karta Hae

Jab Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi
Wo Bahaaron Main Zara Kam Mila Karta Hae

Tum mujhe bhool jao to ye haq hai tumko


Tum mujhe bhool jao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai

Mere dil ki maire jazbaat ki qeemat kia hai
Uljhe uljhe se khayalat ki qeemat kia hai

Maine Q pyar kiya tumne na Q pyar kiya
In pareshan sawalaat ki qeemat kia hai

Tum jo ye bhi na batao to haq hai tumko
Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai

Tum agar aankh churao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai

Tumko dunia ke gham-o-dard se fursat na sahi
Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai

Sab se ulfat hi mujhse hi mohabbat na sahi
Main tumhari hoon wohi mere liye kia kam hai

Tum mere ho ke raho ye meri qismat na sahi
Aur dil ko jalao mere ye haq hai tumko

Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai
MOhabbat ki hai shayad mohabbat ki hai

Wussat-e-Dasht-e-Hijr Dekh K Dar Jata Hoon,


Wussat-e-Dasht-e-Hijr Dekh K Dar Jata Hoon,
Tujh Se Agay Ka Safar Dekh K Dar Jata Hoon,

Roz Dhalte Huye Sooraj Ki Tarha Shaam Gaye,
Main Bhi ek Dard K Darya Main Utar Jata Hoon,

Wo Bhi Chup Chup Si Kahin Baith K Roti Ho Gi,
Main Bhi Raton Ko Zaraa Dair Se Ghar Jata Hoon,

Main Ne Bhi Jurm-e-Baghawat K Sitam Jhailey Hain,
Main Bhi Ab Log Jidhar Jayen Udhar Jata Hoon,

Chal Para Hoon Main Zamane K Asoolo'n Pe .........
Main Bhi Ab Apni Baton Se Mukar Jata Hoon..

Haqeeqat Jaan Kar Aise Himaqat Kon Karta Hai


Haqeeqat Jaan Kar Aise Himaqat Kon Karta Hai
Bhala Be-Faiz Logon Se Mohabbat Kon Karta Hai ?

Batao Jis Tijarat Mein Khasara Hi Khasara Ho
Bina Sochey Khasaarey Ki Tijarat Kon Karta Hai ?

Hamein Hi Ghalt Fehmi Thi Kisi K Wastey Warna,
Zamaney K Riwaajon Se Baghawat Kon Karta Hai ? ......♥♥♥

Khuda Ne Sabr Karne Ki Mujhey Taufeeq Bakhshi Hai
Array G Bhar K Tarpaao, Shikayat Kon Karta Hai ?

Kisi K Dil K Zakhmon Par Marham Rakhna Zaroori Hai
Magr Is Dor Me MOHSIN Ye Zehmat Kon Krta Hai ?

Mujh se parda hai to phir khawab main aatay Q ho


Mujh se parda hai to phir khawab main aatay Q ho
pyaar ki shama mere dil main jalatay Q ho

alwida kehnay ko aay ho to phir milna kaisa
hai bicharna to galay mujh ko lagatay Q ho

dost ho k rahe aisa zaroori to nahi
dil hi jab mil na saka haath milatay Q ho

na laga paoon gi main ilzaam us par logo'n
mere mujrim ko mere samnay laatay Q ho

Be-basi se uski aankhon mein bhi Aansoo aagae the


Be-basi se uski aankhon mein bhi Aansoo aagae the
jab wo khud mujhe judayee ka mashwara dene laga...

Tum kya jano yaado'n main kho kar ankhain kitna roti hain


Tum kya jano yaado'n main kho kar ankhain kitna roti hain
dil main apno ka dard samo kar ankhain kitna roti hain

tumkya jano sawan ka mausam kitni aag lagata hai
barish ki boondon ko chhoo kar ankhain kitna roti hain.

ab to chhoti si baat par bhi yeh dil bhar sa jata hai
halki si dil ko lagti hai thokar ankhain kitna roti hain.

ab to ye jeena bhi hum ko koi bojh sa lagta hai
din bhar is baar ko dho kar ankhain kitna roti hain.

zakhm zakhm hain ankhain meri maazi ki parcchai say
apnay ander lahoo duboo kar ankhain kitna roti hain

Teri Nigah Main ,


Teri Nigah Main , Aik Rang-E-Ajnabiyat Tha !!
Kis Aitebaar Pe Hum Khul Key Guftugu Karte

Yehi Wafa Ka Silaah Ha To Koi Baat Nahi


Yehi Wafa Ka Silaah Ha To Koi Baat Nahi
Yeh Dard Tum Ne Diya Ha To Koi Baat Nahi

Yehi Bohot Ha K Tum Dekhte Ho Sahil Se
Safeena Doob Raha Ha To Koi Baat Nahi ..........♥♥♥♥♥

Rakha Tha Aashiyana-E-Dil Mai Chupa K Tumko
Woh Ghar Tumne Chor Diya Ha To Koi Baat Nahi

Tum Hi Ne Aaina-E-Dil Mera Banaya Tha
Tum Hi Ne Tor Diya Ha To Koi Baat Nahi

Kise Majaal Kahe Koi Mujh Ko Deewana
Agar Yeh Tumne Kaha Ha To Koi Baat Nahi

Ho Sakey To Karo Khud Mein Kashish Paida,


Ho Sakey To Karo Khud Mein Kashish Paida,
Har Kisi Ko Hasrat Se Dekha Nahi Karte,

Har Shakhs Nahi Hota Har Shakhs K Qabil,
Har Kisi Ko Apne Liye Parkha Nahi Karte,..........♥♥♥♥♥

Mujh Ko Paana Hai To Mujh Mein Utar Kar Dekh,
Yun Kinaron Se Samundar Ko Dekha Nahi Karte,......♥♥♥♥♥

Maghroor Dunya Kehti Hai To Kehne Do,
Hum Har Kisi Ko Mur Kar Dekha Nahi Karte……!!! .........♥♥♥♥♥

Aik Muddat Se Charagho'n Ki Tarha Jalti Hain


Aik Muddat Se Charagho'n Ki Tarha Jalti Hain
In Tarasti Huyee Aankho'n Ko Bujha De Koi...!!!

Dekha tujh ko to pyaar ki chaahat si ho gai


Dekha tujh ko to pyaar ki chaahat si ho gai
ham ko har lamha khush rehne ki aadat si ho gai

pukaara hai tujh ko har morr par zindagi ke
tujh ko paane ki aarzoo mein shiddat si ho gai

teri aaankhoon mein vo nasha hai ke kya kahoon ??
bin piye behak jaane ki aadat si ho gai

rehte the har lamha udaas, har pal bechain ham
aane se tere hamain musarrat si ho gai

teri mann-mohni si soorat, khuda ka karishma hai
na dekh paaon gar jisse to qayaamat si ho gai

tumhaare paikar ko dekhta hoon chaudhvin raato'n mein
haseen rukh-e-roshan chaand ki soorat si ho gai

soocha na tha kabhi ishq bhi karoon ga ......
ab mohabbat se mujhe bari mohabbat si ho gai

Dabi Dabi Si Woh Muskurahat;


Dabi Dabi Si Woh Muskurahat; Labon Pe Apney Saja Saja Ke,
Woh Narm Lehje Me Baat Karna; Adaa Se Nazren Jhuka Jhuka Ke,

Woh Aankh Teri Shararti Si;Woh Zulff Maathey Pe Naachti Si,
Nazar Hatey Na Ek Pal Bhi;Main Thak Gaya Hoon Hata Hata ke,

Woh Tera Haathon Ki Ungliyon Ko;Mila Ke Zulfon Main Khho Sa Jana,
Haya Ko Chehrey Pe Phir Sajana,Phhool Chehra Khila Khila Ke,

Woh Haath Hooron Ke Ghar Hon Jasey,Woh Paa'On Pariyon Ke Par Hon Jasey,
Nahi Hai Teri Misaal JANAA;Main Thak Gaya Hun Bata Bata ke.. ♥♥

Ye fakhar to haasil hai k bure hain k bhale hain


Ye fakhar to haasil hai k bure hain k bhale hain
do char qadam ham bhi tere saath chale hain

jalna to chiragho'n ka muqaddar hai azal se
ye dil k kanwal hain k bujhe hain na jale hain

they kitne sitaare k sar-e-shaam hi doobe
hangaam-e-seher kitne hi khurdheed dhale hain

jo jheil gay hans k kari dhoop k tewar
taroon ki khunk chhaa'on main wo log jale hain

aik shama bujhayee to kai or jala lii .......
ham gardish-e-dora'n sey bari chaal chale hain

Watan hamara misaal mohabbat ki,


Watan hamara misaal mohabbat ki,
Todta hai deewaar nafrat ki,
Meri khush naseebi mili zindagi is chaman mein.
Bhula na sake koi iski khushbu saton janam mein.
Happy Independence Day.......................!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Monday, August 13, 2012

Tujhe Muhabbat main Dhokha to hum bhi de sakte the Sagar


Tujhe Muhabbat main Dhokha to hum bhi de sakte the Sagar
Magar rago'n main dorrti Wafa se Baghawat nahin hoti ....

wo to saadiyu ka safar kr k yahan pohncha tha


wo to saadiyu ka safar kr k yahan pohncha tha
tuu ne moo pher k jis shakhs ko dekha bhi nahi..!!!

Main Shehr-e-Fana hoon,


Main Shehr-e-Fana hoon, Tere kis kaam ka..
Ek bhujta sa diya hoon, Tere kis kaam ka..

Tuu rafaqat k liye or kisi ko chun le
Main to khud TANHA hoon,Tere kis kaam ka..

Tuu bhi oro'n ki tarah mujh say kinara kr le......
Saari DUNIYA se bura hoon,Tere kis kaam ka.........?

Kitaab Meri, Qalam


Kitaab Meri, Qalam Mera, ur Soch Bhi Meri Magar,
Jo Likhae Hain Maine Woh Khayaal Tere Hi Hain ...

Jazbaaton Ke Khel Mein Mohabbat Ka Saboot Na Maango Mujh Se,


Jazbaaton Ke Khel Mein Mohabbat Ka Saboot Na Maango Mujh Se,
Maine Wo Aansu Bhi Bahaaye Hain, Jo Meri Aankhon Mein Na The..!!

Zara Si Baat Pe Har Rasm Tor Aya Tha


Zara Si Baat Pe Har Rasm Tor Aya Tha
Dil-E-Tabah Ne Bhi Kaisa Mizaaj Paya Tha

Maaf Kr na Saki Meri Zindagi Mujh ko
Wo Ek LaMha K Main Tujh se Tang Aya Tha

Shagufta Phool Simat Kr Kali Bane Jaise
Kuch Is Trha se Tuu ne Badan Churaya Tha

Guzar Gya Hai Koi Lamha-E-Sharar Ki Tarah
Abi To Main Usse Pehchan Bhi Na Paya Tha

Pata Nahi K Mere Baad Un pe Kya Guzri ??
Main Chand Khwab Zamane me Chor Aya Tha