Pages

Thursday, August 30, 2012

Darman-e-Gham-e-Hijar Agar Ho To Mujhy Kya,


Darman-e-Gham-e-Hijar Agar Ho To Mujhy Kya,
Tumhain Ab Meri Khaber Ho To Mujhy Kya?

Jab Ho Gai Gham Sy Meri Dunya Teh-o-Bala,
Ab Ek Jahan Zair-o-Zabar Ho To Mujhy Kya

Jab Khaak Bhi Baqi Na Rahi Qalb-o-Jigar Ki,
Ab Koi Mere Liye Khaak Basar Ho To Mujhy Kya?

Han Ab DiL-e-Veraa’n Me Ujala Nahi Hota,
Tum Gherat-e-Khursheed-o-Qamar Ho To Mujhy Kya?

Aur Hy Ab Meri Dunya Me Sarasar Shab-e-Furqat,
Ab Is Shab-e-Furqat Ki Sehar Ho Tu Mujhy Kya?

Achha Hy Bin FARAZ K Guzar Jaye Kisi Ki,
Aur Phir Bhi Kisi Ki Na Guzar Ho Tu Mujhy Kya?

No comments: