Pages

Saturday, August 11, 2012

Udaas Shaamo'n Mai Lot Kar Wo Aana Bhool Jati Thi


Udaas Shaamo'n Mai Lot Kar Wo Aana Bhool Jati Thi
Kar ke Khafa Mujh Ko Manaana Bhool Jati Thi

Inhi Khaslato'n Ne Uski Mujhe Badnaam Kar Dala
Wo Likh k Naam Dewaaro'n Pe Mitaana Bhool Jati Thi

Mat Pooch Muhabbat Mai La-Parwahi uski
Day K Zakham Wo Marham Lagaana Bhool Jati Thi

Kitna Dil Nasheen Hota Tha Uski Yaad Ka Manzar
Wo Jab Bhi Yaad Aata Tha, Zamaana Bhool Jati Thi

aik main hi nahi Jurm-e-Muhabbat ka khata-waar


aik main hi nahi Jurm-e-Muhabbat ka khata-waar
halka sa Tabassum bhi to shamil tha udhar se ..!!

bari tabdeeliyaan laai hain apne aap main likin !!


bari tabdeeliyaan laai hain apne aap main likin !!
tumhain bas yaad krne ki wo adat ab bhi baqi hai

Faqat Khwabon Se He Nahi Milta Sukoon Sone Ka 'Mohsin'


Faqat Khwabon Se He Nahi Milta Sukoon Sone Ka 'Mohsin'
Kisi Ki Yaad Main Raat Bhar Jagne Ka Bhi Apna Maza Hai

Zabt Kabhi Na Kabhi Tu Aa jaiga Hamain


Zabt Kabhi Na Kabhi Tu Aa jaiga Hamain
Woh Tasalli De Hamain Yeh Zaroori Tu Nahi

Zinda Dil Hain Hans Kar Do Gham Seh Lainge
Har Gham Main Tera Saath Ho Yeh Zaroori Tu Nahi

Yun Tu Woh Bohat Wafa Shaar Hain Magar Phir Bhi
Har Qadam Pe Wafa Karain Yeh Zaroori Tu Nahi

Hosle Aur Bhi Bharrrh Jainge Shikast K Baad
Jeet Yahan Sada Hamari Ho Yeh Zaroori tu Nahi

Shiddat-e-Gham Main Insaan Ro Bhi Daita Hai
Samne Tera Aanchal Ho Yeh Zaroori Tu Nahi

Nazrain Thi Bass Kia Karti Pathar Hogai
Tere Baad Kisi Aur Ko Dekhae Yeh Zaroori Tu nahi

Hum Ne Hamesha Usse Toot K Chaha Hai
Woh Bhi Hamain Toot K Chahe Yeh Zaroori Tu Nahi

mujhe bujha de, mera dard mukhtasir kar de


mujhe bujha de, mera dard mukhtasir kar de
magar diye ki tarah mujh ko mo’atbar kar de

meri talaash ko benaam-o-besafar kar de
main tera raasta chhoRuu to dar-ba-dar kar de

judaaiyoN kii ye raateN to kaatnii ho'ngii
kahaaniyoN ko ko’ii kaise muKhtasir kar de

tere Khayaal ke haathoN kuch aisaa bikhraa hoon
ke jaise bachaa kitaabein idhar-udhar kar de

Wafa ka pouda Shajer hua to Muhabbaton ka pata chalega!


Wafa ka pouda Shajer hua to Muhabbaton ka pata chalega!
Naseeb us ka Samer hua to Muhabbaton ka pata chelega!

Abhi to phirtay ho Doston mein , Azeez koi juda nhi!
Koi idher se udher hua to Muhabbaton ka pata chlega!

Ye Khushnaseebi he k Shehar bhar me Tumhara Dushman koi nahi!
Kbhi kisi ka jo Darr hua to Muhabbaton ka pata chalega!

Ye kya Bicharna k Shaam hotay hi apnay piyaron mein lot jana!
Kabhi jo lamba Safer hua to Muhabbaton ka pata chalega!

Aao kuch dair tazkara kr lein …


Aao kuch dair tazkara kr lein …
Un dinon ka, jab tum humare the !!

Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Gumaan Baaqi Hai


Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Gumaan Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai

Muddat Hui Ek Shakhs Ko Bichrey Lekin
Aaj Tak Maire Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hai

Woh Sayibaan Chin Gaya To Koi Gham Nahin
Abhi To Maire Sar Pe Ye Aasmaan Baaqi Hai

Kashti Zara Kinarey Ke Qareeb Hi Rakhna
Biphri Hui Lehron Mein Abhi Toofaan Baaqi Hai

Ghamon Say Keh Do Ke Abhi Na Rakht-e-Safar Baandhein
Ke Abhi To Maire Jism Mein Kuch Aur Jaan Baaqi Hai

Jaa Chuke Gain Sab Log Khamosh Pari Hai Basti
Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-e-Makaan Baaqi Hai.

Tere khayal mein kuch aisay gum raha barson


Tere khayal mein kuch aisay gum raha barson
Main apne aap se bhi mil nahi saka barson

Kaheen wo zaiqa tehleel hi na ho jaey
Main us se mil k kisi se nahi mila barson

Kaha tha tum ne k tum laut aaoge ik din
So main jahan tha waheen par khara raha barson

Tere baghair meri umar raaigan guzri
Koi bhi kaam theek se nahi huwa barson

Tumhare haath ki dastak ki aas mein
Main apne ghar se kaheen bhi nahi gaya barson

Kaati Hai Gham Ki Raat Bade Ehtraam Se,



Kaati Hai Gham Ki Raat Bade Ehtraam Se,
Aksar Bujha Liya Hai Charaghon Ko Shaam Se,

Roshan Hai Apni Bazm Aur Isse Ehtemaam Se,
Kuch Dil Bhi Jal Rahe Hai Chiragho'n Ke Naam Se,

Muddat Hui Hai Khoon-E-Tamanna Kiye Magar,
Ab Tak Tapak Raha Hai Lahoo Dil ke JaaM Se,

Subh-E-Bahar Humko Bulati Rahi Magar,
HuM Khelte Rahe Kisi Damakti Shaam Se,

Har Saans Par Hai Maut Ka Pehra Laga Hua,
Ahista Aye Hayat ! Guzar Is MuqaaM Se,

Kati Tamaam umr Faraib-E-Bahaar Mein,
Kante Samait-te Rahe Phoolon Ke Naam Se,

Ye Aur Baat Hai Ke HuM Na Sun Sake,
Awaz Usne Di Hai Hamein Har MuqaaM Se...!!

Us Gham-zada Se Poch Waqt-e-sehar Ki Qeemat



Us Gham-zada Se Poch Waqt-e-sehar Ki Qeemat
Jalta Hai Jis Ka Khoon Chiragho'n Mei Raat Bhar .....

is Aalam-e-veeraa'n main kia anjuman aarayee



is Aalam-e-veeraa'n main kia anjuman aarayee
do roz ki mehfil hai,......... ik umr ki tanhayee ........:(:(:(

Kia mila us ko Mohabbat mein judayee de kar,


Kia mila us ko Mohabbat mein judayee de kar,
Jis ko paya tha Sar-e-Aam khudayee de kar,

Is ka gham ab to mujhe reza reza karta hai,
Thak gai Rooh bhi ab is ko duhaayee de kar,

Aaj bikhra hoon mein tootey huay taarae ki tarah "WASi"
Aaj wo khush hay mujhe khud se rehayee de kar.....!

Friday, August 10, 2012

jab Teri Dhun Mein Jiya Karte The

jab Teri Dhun Mein Jiya Karte The
Hum Bhi Chup Chap Piya Karte The
Ankhon Mein Piyas Huwa Karti Thi
Dil Mein Tuffan Utha Karte The,

Log Ate The gazal Sunne ko
Hum Teri Baate Kiya karte The
Sach Samajhte The tere Wado ko
Bas Raat Din Ghar Mein Raha Karte The

Kisi Virane Mein Tujhse Milkar
Dil mein Kya phool Khila Karte The
Ghar Ki Diwar Sajane Ki Khatir
Hum Tera Naam Likha Karte The

Kal Tujhe Dekh Kar Fir Yaad Aya
Hum Bhi Kabhi Mohobbat Kiya Karte The.....!!!!!!!!!!