Pages

Monday, August 27, 2012

Laakh miltay hain hum bahanay say


Laakh miltay hain hum bahanay say
Pyar chupta nahi chupanay say

Umar guzaari hay dar-badar apni
Hum hillaE thaE zara thikanay say

Aik jadu sa kar gaye mujh par
Kuch makaan thay puranay say

Baat karta raha main us say magar
Baat banti nahi bana’nay say

Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho
Tum nikalo humain fasanay say......... .....♥♥♥

Meri chahat main bhi woh baat na thi
Woh bhi rukhsat hua bahanay say

Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay
Teer palat-ta agar nishanay say…!!!

No comments: