Pages

Saturday, September 1, 2012

Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Ghumaan Baaqi Hai

Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Ghumaan Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai

Mudat Hui Ek Shakhs Ko Bichrey Lekin
Aaj Tak Maire Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hai


Woh Sayibaan Chin Gaya To Koi Gham Nahin
Abhi To Maire Sar Pe Ye Aasmaan Baaqi Hai

Kashti Zara Kinarey Ke Kareeb Hi Rakhna
Biphri Hui Lehron Mein Abhi Toofaan Baaqi Hai

Ghamon Say Keh Do Ke Abhi Na Rakht-e-Safar Baandhein
Ke Abhi To Maire Jism Mein Kuch Aur Jaan Baaqi Hai

Jaa Chuke Gain Sab Log Khamosh Pari Hai Basti
Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-e-Makaan Baaqi Hai.

jab tera hukum mila, tark-e- muhabbat kar di 
dil magar is pe wo dharhka k qayaamat kar di

tujh sey kis tarah main izhaar-e-Muhabbat karta
lafz soojhaa to ma'ani ney baghawat kar di ♥♥♥

main to samajha tha k laut atae hain jaane waley
tuu ne ja kar to judayee meri qismat kar di

mujh ko dushman k iraadon per bhi pyar ata hey
teri ulfat ne muhabbat meri adat kar di

poch betha hoon main tujh sey tere koochae ka pata
tere halaat ne kaisi teri soorat kar di

kia tera jism, tere husn ki hiddat main jala..???
raakh kisne teri sonae ki si rangat kr di

Thursday, August 30, 2012

Meri Ye Aadat Nahi K Kisi Ko Hal-E-Dil Sunao.,


Meri Ye Aadat Nahi K Kisi Ko Hal-E-Dil Sunao.,
Par Takleef Bhi Bahut Milti Hain Raaz-E-Dil Chupane Se..!!

Tumhe Jab Kabhi Mile Fursatein Mere Dil se Bojh Utaar Do,


My Personal Fav......

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

Tumhe Jab Kabhi Mile Fursatein Mere Dil se Bojh Utaar Do,
Main Bahut Dino Se Udaas Hoon Mujhe Ek Shaam Udhaar Do,

Mujhe Apne Roop Ki Dhoop Do, K Chamak Sake Mere Khad-o-khal,
Mujhe Apne Rang Mein Rang Do Mera Sara Zang Utaar Do,

Kisi Aur Ko Mere Haal Se Koi Gharz Hai , Na Hi Wasta,
Mere Dil pe Haath Rakho Zara , Meri Dhadkano Ko Qaraar Do,

Tumhe Subah Kaisi Lagi Kaho Meri Khwahishon Ke Dayaar Ki,
Jo Bhali Lage To Yehi Raho Ise Chahaton Se Nikhaar Do,

Wahan Ghar Pe Kaun Hai Muntazir K Ho Fikr Der Sawer Ki,
Badi Mukhtasir Si Ye Raat Hai.. esse Chandni Mein Guzaar Do,

Koi Baat Karni Hai Chand Se Kisi Shakhsaar Ki Aout Mein,
Mujhe Raaste Mein Yahin Kahin Kisi Kunj-E-Gul Mein Utaar Do…

Woh sach kehte the ke unhe meri muskurahat se PYAR hai,


Woh sach kehte the ke unhe meri muskurahat se PYAR hai,
Is liye jate-jate woh meri muskurahat bhi le gaye ...

wo bhi kya din thay k pal mein kr diya krtay thay hum


wo bhi kya din thay k pal mein kr diya krtay thay hum
umer bhar ki chahton ko hr aik harjaai k naam

wo bhi kiya mosam thay jin ki nikhaton k zaiqay
likh diya krtay thay khaal-o-khad ki ra'anaai k naam

wo bhi kiya subhain thein jin ki muskurahat ka fasoon
waqf tha ehl-e-wafa ki bazm aaraai k naam

wo bhi kiya shamain thein jin ki shohratain mansoob thein
besabab khhultay huay baalon ki ruswaai k naam

ab k wo rut hy k hr tazaa qayamat ka azaab
apnay dil mein jaagtay zakhmon ki gehraai k naam

ab k apnay aansuon k sub shiksta aainay
kuchh zmanay k liye kuchh apni tnhaai k naam...

Haan Piyaar Nahi, Ishq Nahi, Ibadat Ki Hai ,


Haan Piyaar Nahi, Ishq Nahi, Ibadat Ki Hai ,
Mein Ne Rasmon Se Riwajon Se Baghawat Ki Hai ,

Apni Makhmoor Nigahon Main Basa Kar Mujh Ko ,
Tu Ne Bhi Toot Ker Mujh Se Jo Mohabbat Ki Hai ,

Qabool Ker Ke Mujhe Thukra Dia Hai Duniya Ko ,
Main Ne Bhi Tere Liye Duniya Se Adaawat Ki Hai ,

Haseen Azaala Hai, Karam Hai Ya He Khush Bukhti ,
Apne Malik Se Main Ne Jo Shikayat Ki Hai ,

Karoon Main Kese Adaa Shuker Iss Nawazish Ka ,
Mere Maahboob Tu Ne Jo Inaayat Ki Hai , ♥ ♥ ♥

Khud Se Bhi Berh Ker Main Ne Tujhse Chahat Ki Hai ,
Haan Piyaar Nahi, Iahq Nahi, Ibadaat Ki Hai